Tan bhee badlaa .. luee shamaashaa ooee

तन भी बदला .. लुई शमाशा ऊई
Work
Year
Language

ल: तन भी बदला मन भी बदला बदल गई है काया
काली रात से जीवन को अब मिल गई उजली छाया
को: ये दिल वालों की बस्ती है ये बसते-बसते बसती है
ग़म को ख़ुशी में ढाल दे जो भारत की ऐसी हस्ती है
जिसने रचा संसार है ये हम रचना उस की गाते हैं

ल: लुई शमाशा उई -5
ले जा प्यार ज़रा सा दे जा प्यार ज़रा सा ( उई ) -5
लुई शमाशा …
को: लुई शमाशा …
ल: लुई शमाशा …

मौसम ने ली अंगड़ाई है क़ुदरत ने बाँधी पायल है
हाय मैं किसकी बात करूँ दिल मेरा ही घायल है
रिश्तों की मेहंदी ले आओ -2
( दुल्हन सा मुझे सजाओ ) -2 री
प्रेम की भाषा उई -5
प्रेम की भाषा
ले जा प्यार ज़रा …
को: लुई शमाशा …

नि: ( हो दिल चन्दा का ले आएँगे सूरज से आँख मिलाएँगे
आ जाएँगे जब अपनी पर तारों को तोड़ के लाएँगे ) -2
ल: ओ हो
नि: मंज़िल है अपनी राहों में आकाश हमारी बाँहों में
देख तमाशा उई -5
देख तमाशा
ले जा प्यार ज़रा …
ल: उई -4
को: लुई शमाशा …

नि: उठकर गिरना गिरकर उठना जीवन की रीत पुरानी है
ल: उठकर गिरना गिरकर उठना जीवन की रीत पुरानी है
चट्टानों से टकराने की हमने जीवन में ठानी है
दो: परवत को धूल बना देंगे -2
सागर को बूँद बना देंगे
जागी आशा उई
उई -5
जागी आशा उई जागी आशा
ले जा प्यार ज़रा …

la: tan bhī badlā man bhī badlā badal gaī hai kāyā
kālī rāt se jīvan ko ab mil gaī ujlī chhāyā
ko: ye dil vāloṅ kī bastī hai ye baste-baste bastī hai
ġham ko khuśhī meṅ ḍhāl de jo bhārat kī aisī hastī hai
jisne rachā saṅsār hai ye ham rachnā us kī gāte haiṅ

la: luī śhamāśhā uī -5
le jā pyār zarā sā de jā pyār zarā sā ( uī ) -5
luī śhamāśhā …
ko: luī śhamāśhā …
la: luī śhamāśhā …

mausam ne lī aṅgaṛāī hai qudarat ne bāṇdhī pāyal hai
hāy maiṅ kiskī bāt karūṇ dil merā hī ghāyal hai
riśhtoṅ kī mehaṅdī le āo -2
( dulhan sā mujhe sajāo ) -2 rī
prem kī bhāṣhā uī -5
prem kī bhāṣhā
le jā pyār zarā …
ko: luī śhamāśhā …

ni: ( ho dil chandā kā le āeṇge sūraj se āṇkh milāeṇge
ā jāeṇge jab apnī par tāroṅ ko toṛ ke lāeṇge ) -2
la: o ho
ni: maṅzil hai apnī rāhoṅ meṅ ākāśh hamārī bāṇhoṅ meṅ
dekh tamāśhā uī -5
dekh tamāśhā
le jā pyār zarā …
la: uī -4
ko: luī śhamāśhā …

ni: uṭhkar girnā girkar uṭhnā jīvan kī rīt purānī hai
la: uṭhkar girnā girkar uṭhnā jīvan kī rīt purānī hai
chaṭṭānoṅ se ṭakrāne kī hamne jīvan meṅ ṭhānī hai
do: paravat ko dhūl banā deṅge -2
sāgar ko būṇd banā deṅge
jāgī āśhā uī
uī -5
jāgī āśhā uī jāgī āśhā
le jā pyār zarā …