Taaron se pyaare dil ke ishaare ... aanaa hee hogaa tujhe

तारों से प्यारे दिल के इशारे ... आना ही होगा तुझे
Work
Year
Language

तारों से प्यारे दिल के इशारे
प्यासे हैं अरमाँ आ मेरे प्यारे
आना ही होगा तुझे आना ही होगा आना ही होगा -2

दिल तुझे याद करे और फ़रियाद करे
पेड़ों की छाँव तले ( तेरा इंतज़ार करे ) -2
साँझ-सकारे दिल ये पुकारे
प्यासे हैं अरमाँ …

हाल-ए-दिल जान ले तू हमको पहचान ले तू
हम कोई ग़ैर नहीं ( बात ये मान ले तू ) -2
हम हैं बेचारे दुनिया के मारे
प्यासे हैं अरमाँ …

tāroṅ se pyāre dil ke iśhāre
pyāse haiṅ armāṇ ā mere pyāre
ānā hī hogā tujhe ānā hī hogā ānā hī hogā -2

dil tujhe yād kare aur fariyād kare
peṛoṅ kī chhāṇv tale ( terā iṅtazār kare ) -2
sāṇjh-sakāre dil ye pukāre
pyāse haiṅ armāṇ …

hāl-e-dil jān le tū hamko pahchān le tū
ham koī ġhair nahīṅ ( bāt ye mān le tū ) -2
ham haiṅ bechāre duniyā ke māre
pyāse haiṅ armāṇ …