Taaron men sajke, apne sooraj se, dekho dhartee chalee milne

तारों में सजके, अपने सूरज से, देखो धरती चली मिलने
Year
Language

तारों में सज के, अपने सूरज से, देखो धरती चली मिलने
झनकी पायल मच गयी हलचल, अंबर सारा लगा हिलने

हैं घटाओं का, दो नैन में काजल
धूप का मुख पे डाले सुनहरा सा आँचल
यूँ लहराई, ली अंगड़ाई, लगी जैसे धनक खिलने

आग सी लपके, जलती हुई राहें
जी को दहलाये, बेचैन तूफां की आहे
ना डरेगी, ना रुकेगी, देखे क्या हो, कहा दिल ने

tāroṅ meṅ saj ke, apne sūraj se, dekho dhartī chalī milne
jhankī pāyal mach gayī halchal, aṅbar sārā lagā hilne

haiṅ ghaṭāoṅ kā, do nain meṅ kājal
dhūp kā mukh pe ḍāle sunahrā sā āṇchal
yūṇ lahrāī, lī aṅgaṛāī, lagī jaise dhanak khilne

āg sī lapke, jaltī huī rāheṅ
jī ko dahlāye, bechain tūphāṅ kī āhe
nā ḍaregī, nā rukegī, dekhe kyā ho, kahā dil ne