तारों में सजके अपने सूरज से, देखो धरती चली मिलने
तारों में सजके अपने सूरज से
देखो धरती चली मिलने
झनकी पायल मच गई हलचल
अम्बर सारा लगा हिलने
(है घटाओं का, दो नैन में काजल
धूप का मुख पे, डाले सुनहरा सा आँचल - 2)
हो … यूं लहराई, ली अंगड़ाई
लगी जैसे धनक खिलने
तारों में सजके, अपने सूरज से …
(आग सी लपके, जलती हुई राहें
जी को बहलाएं, बेचैन तूफ़ां की आंहें - 2)
हो … ना डरेगी, ना रुकेगी
देखें क्या हो कहा दिल ने
तारों में सजके, अपने सूरज से …
tāroṅ meṅ sajke apne sūraj se
dekho dhartī chalī milne
jhankī pāyal mach gaī halchal
ambar sārā lagā hilne
(hai ghaṭāoṅ kā, do nain meṅ kājal
dhūp kā mukh pe, ḍāle sunahrā sā āṇchal - 2)
ho … yūṅ lahrāī, lī aṅgaṛāī
lagī jaise dhanak khilne
tāroṅ meṅ sajke, apne sūraj se …
(āg sī lapke, jaltī huī rāheṅ
jī ko bahlāeṅ, bechain tūfāṅ kī āṅheṅ - 2)
ho … nā ḍaregī, nā rukegī
dekheṅ kyā ho kahā dil ne
tāroṅ meṅ sajke, apne sūraj se …