Sur badle kaise-kaise dekho qismat kee

सुर बदले कैसे-कैसे देखो क़िस्मत की
Work
Year
Language

सुर बदले कैसे-कैसे देखो क़िस्मत की शहनाई
हाथ में आया ना हाथ पिया का काहे को मेंहदी रचाई

बिखर गईं सेहरे की कलियाँ हार सिंगार भी पड़ गया फीका
घूँघट ही की ओट से पाया चार घड़ी बस दर्शन पी का
टूट गए सब सुन्दर सपने रात मिलन की न आई
सुर बदले कैसे-कैसे …

कल तक थीं रंगीन बहारें आज क़फ़स है और ज़ंजीरें
तारों की गर्दिश के आगे काम न आईं कुछ तदबीरें
हसरत थी दिल को मेलों की और मिली है तन्हाई
सुर बदले कैसे-कैसे …

फूल चमन से ऐसे निकला फूल न हो कोई धूल हो जैसे
दी भी सज़ा तो ऐसी सज़ा दी फूल का खिलना भूल हो जैसे
जितना संभल के पाँव उठाया उतनी ही ठोकर खाई
सुर बदले कैसे-कैसे …

sur badle kaise-kaise dekho qismat kī śhahnāī
hāth meṅ āyā nā hāth piyā kā kāhe ko meṅhdī rachāī

bikhar gaīṅ sehre kī kaliyāṇ hār siṅgār bhī paṛ gayā phīkā
ghūṇghaṭ hī kī oṭ se pāyā chār ghaṛī bas darśhan pī kā
ṭūṭ gae sab sundar sapne rāt milan kī na āī
sur badle kaise-kaise …

kal tak thīṅ raṅgīn bahāreṅ āj qafas hai aur zaṅjīreṅ
tāroṅ kī gardiśh ke āge kām na āīṅ kuchh tadbīreṅ
hasrat thī dil ko meloṅ kī aur milī hai tanhāī
sur badle kaise-kaise …

phūl chaman se aise niklā phūl na ho koī dhūl ho jaise
dī bhī sazā to aisī sazā dī phūl kā khilnā bhūl ho jaise
jitnā saṅbhal ke pāṇv uṭhāyā utnī hī ṭhokar khāī
sur badle kaise-kaise …