Sunte the naam ham jin kaa bahaar se

सुनते थे नाम हम जिन का बहार से
Work
Year
Language

सुनते थे नाम हम जिन का बहार से
देखा तो डोला जिया झूम झूम के

छुपते रहे जो मेरी नज़र से
दिल बोले मेरा तुम ही तो हो
आँखों से रंग मेरे दिल के उमंग पे
डाला तो डोला जिया झूम झूम के
सुनते थे नाम हम …

ठुकरा चुके थे जिन की मुहब्बत
क्‌यों उन पे दीवाने हुए
तड़पा के प्यार ने जब हम को प्यार से
छेड़ा तो बोला जिया झूम झूम के
सुनते थे नाम हम …

पहले कहीं ये दिल न झुका था
क्‌या जानूँ अब क्‌या हो गया
जाओ न आज कल तुम हम को छोड़ के
अपना तो डोला जिया झूम झूम के
सुनते थे नाम हम …

sunte the nām ham jin kā bahār se
dekhā to ḍolā jiyā jhūm jhūm ke

chhupte rahe jo merī nazar se
dil bole merā tum hī to ho
āṇkhoṅ se raṅg mere dil ke umaṅg pe
ḍālā to ḍolā jiyā jhūm jhūm ke
sunte the nām ham …

ṭhukrā chuke the jin kī muhabbat
k‌yoṅ un pe dīvāne hue
taṛpā ke pyār ne jab ham ko pyār se
chheṛā to bolā jiyā jhūm jhūm ke
sunte the nām ham …

pahle kahīṅ ye dil na jhukā thā
k‌yā jānūṇ ab k‌yā ho gayā
jāo na āj kal tum ham ko chhoṛ ke
apnā to ḍolā jiyā jhūm jhūm ke
sunte the nām ham …