Suno naa, dil ne tum ko chun liyaa hai

सुनो ना, दिल ने तुम को चुन लिया है
Year
Language

दिल ने तुम को चुन लिया है
तुम भी उसको चुनो ना
ख्वाब कोई देखता है
तुम भी सपने बुनो ना
दिल यह मेरा तुमसे कुछ कह रहा है … सुनो ना
दूर हो कर भी दूर तुम नहीं हो
पास हो लेकिन पास क्यों नहीं हो
तनहा तनहा समा, महकी महकी हवा
कह रहा है जहाँ जो … सुनो ना
दिल ने तुम को …
देखलो मौसम कितना सुहाना है
प्यार करने का यह तो एक बहाना है
मुस्कुराती फ़िज़ा, गुनगुनाती हवा
कह रहा है जहाँ जो … सुनो ना
दिल ने तुम को …

dil ne tum ko chun liyā hai
tum bhī usko chuno nā
khvāb koī dekhtā hai
tum bhī sapne buno nā
dil yah merā tumse kuchh kah rahā hai … suno nā
dūr ho kar bhī dūr tum nahīṅ ho
pās ho lekin pās kyoṅ nahīṅ ho
tanhā tanhā samā, mahkī mahkī havā
kah rahā hai jahāṇ jo … suno nā
dil ne tum ko …
dekhlo mausam kitnā suhānā hai
pyār karne kā yah to ek bahānā hai
muskurātī fizā, gungunātī havā
kah rahā hai jahāṇ jo … suno nā
dil ne tum ko …