Suljhaao na uljhee zulfon ko ham uljhan men

सुलझाओ न उलझी ज़ुल्फ़ों को हम उलझन में
Year
Language

मु: सुलझाओ न उलझी ज़ुल्फ़ों को
हम उलझन में पड़ जाते हैं
सुलझाओ न उलझी …
आ: यूँ देख के उलझी नज़रों से
क्‌यूँ आप हमें उलझाते हैं
मु: सुलझाओ न उलझी …

हम डूब रहे हैं मस्ती में ऐसे में पलकें झपकाना
आ: डर है आँखों में बन जाए न कोई अफ़साना
मु: ये पल तो गुज़र जाते हैं मगर
अफ़साने ही रह जाते हैं
सुलझाओ न उलझी …

आ: इन बहकी बातों से देखो जी हमें न बहकाओ
मु: मुद्दत से यूँ ही तड़पते हैं अब और हमें ना तड़पाओ
आ: हम प्यार की लम्बी राहों पे
चलने से भी घबराते हैं
मु: सुलझाओ न उलझी …

mu: suljhāo na uljhī zulfoṅ ko
ham uljhan meṅ paṛ jāte haiṅ
suljhāo na uljhī …
ā: yūṇ dekh ke uljhī nazroṅ se
k‌yūṇ āp hameṅ uljhāte haiṅ
mu: suljhāo na uljhī …

ham ḍūb rahe haiṅ mastī meṅ aise meṅ palkeṅ jhapkānā
ā: ḍar hai āṇkhoṅ meṅ ban jāe na koī afsānā
mu: ye pal to guzar jāte haiṅ magar
afsāne hī rah jāte haiṅ
suljhāo na uljhī …

ā: in bahkī bātoṅ se dekho jī hameṅ na bahkāo
mu: muddat se yūṇ hī taṛapte haiṅ ab aur hameṅ nā taṛpāo
ā: ham pyār kī lambī rāhoṅ pe
chalne se bhī ghabrāte haiṅ
mu: suljhāo na uljhī …