Suhaanaa safar aur ye mausam haseen

सुहाना सफ़र और ये मौसम हसीं
Work
Year
Language

सुहाना सफ़र और ये मौसम हंसीं (2)
हमें डर है हम खो न जाएं कहीं
सुहाना सफ़र …

(ये कौन हँसता है फूलों में छूप कर
बहार बेचैन है किसकी धुन पर ) - (2)
कहीं गुमगुम, कहीं रुमझुम, के जैसे नाचे ज़मीं
सुहाना सफ़र …

(ये गोरी नदियों का चलना उछलकर
के जैसे अल्हड़ चले पी से मिलकर ) - (2)
प्यारे प्यारे ये नज़ारे निखरे हैं हर कहीं
सुहाना सफ़र …

हो हो हो …
(वो आसमाँ झुक रहा है ज़मीं पर
ये मिलन हमने देखा यहीं पर ) - (2)
मेरी दुनिया, मेरे सपने, मिलेंगे शायद यहीं
सुहाना सफ़र …

suhānā safar aur ye mausam haṅsīṅ (2)
hameṅ ḍar hai ham kho na jāeṅ kahīṅ
suhānā safar …

(ye kaun hṇstā hai phūloṅ meṅ chhūp kar
bahār bechain hai kiskī dhun par ) - (2)
kahīṅ gumgum, kahīṅ rumjhum, ke jaise nāche zamīṅ
suhānā safar …

(ye gorī nadiyoṅ kā chalnā uchhalkar
ke jaise alhaṛ chale pī se milkar ) - (2)
pyāre pyāre ye nazāre nikhre haiṅ har kahīṅ
suhānā safar …

ho ho ho …
(vo āsmāṇ jhuk rahā hai zamīṅ par
ye milan hamne dekhā yahīṅ par ) - (2)
merī duniyā, mere sapne, mileṅge śhāyad yahīṅ
suhānā safar …