Sone detee hai na raat koee baat karo

सोने देती है न रात कोई बात करो
Work
Year
Language

सोने देती है न रात कोई बात करो
हो सुहागन ये मुलाकात कोई बात करो

तू जवाँ मैं भी जवाँ प्यास जवाँ दिल जवाँ
मैं जलूँ बन के पतंगा तू मचल बन के शमा
इश्क़ की उमर है इक रात कोई बात करो
सोने देती है न …

हाय मासूम नज़र उसपे क़ातिल ये अदा
जैसे दे जवानी बचपन को सदा
जाने फिर हो के न हो साथ कोई बात करो
हो सुहागन ये …

जैसे बच्चा कोई खो जाए मेले में
करवटें बदले कोई आरज़ू दिल में
यूँ बहके हुए जज़्बात कोई बात करो
हो सुहागन ये …

sone detī hai na rāt koī bāt karo
ho suhāgan ye mulākāt koī bāt karo

tū javāṇ maiṅ bhī javāṇ pyās javāṇ dil javāṇ
maiṅ jalūṇ ban ke pataṅgā tū machal ban ke śhamā
iśhq kī umar hai ik rāt koī bāt karo
sone detī hai na …

hāy māsūm nazar uspe qātil ye adā
jaise de javānī bachapan ko sadā
jāne phir ho ke na ho sāth koī bāt karo
ho suhāgan ye …

jaise bachchā koī kho jāe mele meṅ
karavṭeṅ badle koī ārazū dil meṅ
yūṇ bahke hue jazbāt koī bāt karo
ho suhāgan ye …