सितम्गर दिल में तेरे आग ...तेरा हुस्न माना बड़ी चीज़ है
सितम्गर दिल में तेरे आग उलफ़त की लगा दूँगा
क़सम तेरी तुझे मैं प्यार करना भी सिखा दूँगा
( तेरा हुस्न माना बड़ी चीज़ है
मेरा दिल भी आख़िर कोई चीज़ है ) -2
ज़माने में हैं तुझसे लाखों हसीं
न होगा मगर कोई मुझसा कहीं
मुहब्बत अगर तेरे दिल में नहीं
तेरे दिल में नहीं
तो कर ले मोहब्बत भली चीज़ है
मेरा दिल भी आख़िर कोई चीज़ है
तेरा हुस्न माना बड़ी चीज़ है
मेरा दिल भी आख़िर कोई चीज़ है
न हो हुस्न पर इतना मग़रूर तू
करेगा तू इक दिन मेरी आरज़ू
बसा दूँगा मैं दिल में उलफ़त की धुन
दिल में उल्फ़त की धुन
तेरे लब पे जादू भरी चीज़ है
मेरा दिल भी आख़िर कोई चीज़ है
तेरा हुस्न माना बड़ी चीज़ है
मेरा दिल भी आख़िर कोई चीज़ है
तू जब गीत सुन कर तड़पने लगे
किसी के लिये दिल धड़कने लगे
कोई जब तेरे दिल में बसने लगे
समझना मोहब्बत वोही चीज़ है
मेरा दिल भी आख़िर कोई चीज़ है
sitamgar dil meṅ tere āg ulafat kī lagā dūṇgā
qasam terī tujhe maiṅ pyār karnā bhī sikhā dūṇgā
( terā husn mānā baṛī chīz hai
merā dil bhī ākhir koī chīz hai ) -2
zamāne meṅ haiṅ tujhse lākhoṅ hasīṅ
na hogā magar koī mujhsā kahīṅ
muhabbat agar tere dil meṅ nahīṅ
tere dil meṅ nahīṅ
to kar le mohabbat bhalī chīz hai
merā dil bhī ākhir koī chīz hai
terā husn mānā baṛī chīz hai
merā dil bhī ākhir koī chīz hai
na ho husn par itnā maġhrūr tū
karegā tū ik din merī ārazū
basā dūṇgā maiṅ dil meṅ ulafat kī dhun
dil meṅ ulfat kī dhun
tere lab pe jādū bharī chīz hai
merā dil bhī ākhir koī chīz hai
terā husn mānā baṛī chīz hai
merā dil bhī ākhir koī chīz hai
tū jab gīt sun kar taṛapne lage
kisī ke liye dil dhaṛakne lage
koī jab tere dil meṅ basne lage
samajhnā mohabbat vohī chīz hai
merā dil bhī ākhir koī chīz hai