Shikvaa teraa main gaaoon

शिकवा तेरा मैं गाऊँ
Year
Language

शिकवा तेरा मैं गाऊँ
दिल में समाने वाले
भूले से याद कर ले
ओ भूल जाने वाले
शिकवा तेरा …

ऐ आह मेरा भेद कहीं खोल न देना
हम को है उनसे प्यार कहीं बोल न देना
हम भी हैं ज़िद्द के पूरे
ज़िद्द के निभाने वाले
पी जायेंगे आँसू भी
हम ले रुलाने वाले
शिकवा तेरा …

मर जायें हम अप हमें याद करोगे
रोओगे फूट-फूट कर फ़रियाद करोगे
ढूँढेंगे फिर सहारा
आँसू बहाने वाले
आयेंगे नहीं जा के
दुनिया से जाने वाले
शिकवा तेरा …

śhikvā terā maiṅ gāūṇ
dil meṅ samāne vāle
bhūle se yād kar le
o bhūl jāne vāle
śhikvā terā …

ai āh merā bhed kahīṅ khol na denā
ham ko hai unse pyār kahīṅ bol na denā
ham bhī haiṅ zidd ke pūre
zidd ke nibhāne vāle
pī jāyeṅge āṇsū bhī
ham le rulāne vāle
śhikvā terā …

mar jāyeṅ ham ap hameṅ yād karoge
rooge phūṭ-phūṭ kar fariyād karoge
ḍhūṇḍheṅge phir sahārā
āṇsū bahāne vāle
āyeṅge nahīṅ jā ke
duniyā se jāne vāle
śhikvā terā …