Shikaaree ... sundartaa ke sabhee shikaaree

शिकारी ... सुन्दरता के सभी शिकारी
Work
Year
Language

शिकारी, शिकारी
सुन्दरता के सभी शिकारी -2
कोई नहीं है पुजारी -2
सुन्दरता के सभी शिकारी

महल-दोमहलों बीच खड़ी कोई चन्द्रकिरन सी नारी
छल से बल से
छल से बल से तन-मन-जोबन लूटे हाय शिकारी
सुन्दरता के सभी शिकारी -2

बाग़-बग़ीचों खिली कली तो आया वहीं शिकारी
देख-देख जी भरा न उसका चुन लीं कलियाँ सारी
सुन्दरता के सभी शिकारी -2

बन-उपबन में सुन्दर हिरनी दौड़-दौड़ के हारी
देख के कंचन काया उसकी पीछे पड़ा शिकारी
सुन्दरता के सभी शिकारी -2

śhikārī, śhikārī
sundartā ke sabhī śhikārī -2
koī nahīṅ hai pujārī -2
sundartā ke sabhī śhikārī

mahal-domahloṅ bīch khaṛī koī chandrkiran sī nārī
chhal se bal se
chhal se bal se tan-man-joban lūṭe hāy śhikārī
sundartā ke sabhī śhikārī -2

bāġh-baġhīchoṅ khilī kalī to āyā vahīṅ śhikārī
dekh-dekh jī bharā na uskā chun līṅ kaliyāṇ sārī
sundartā ke sabhī śhikārī -2

ban-upaban meṅ sundar hirnī dauṛ-dauṛ ke hārī
dekh ke kaṅchan kāyā uskī pīchhe paṛā śhikārī
sundartā ke sabhī śhikārī -2