Sharmaa ke yoon na dekh adaa ke maqaam se

शरमा के यूँ न देख अदा के मक़ाम से
Work
Year
Language

शरमा के यूँ न देख अदा के मक़ाम से
अब बात बढ़ चुकी है नज़र के मक़ाम से
शर्म के यूँ न …

तस्वीर खींच ली है तेरे शोख़ हुस्न की
मेरी नज़र ने आज ख़ता के मक़ाम से
शरमा के यूँ न …

दुनिया को भूल कर मेरी बाँहों में झूल जा
आवाज़ दे रहा हूँ वफ़ा के मक़ाम से
शरमा के यूँ न …

दिल के मुआमले में नतीज़े की फ़िक़्र क्‌या
आगे है इश्क़ ज़ुर्म-ओ-सज़ा के मक़ाम से
शरमा के यूँ न …

śharmā ke yūṇ na dekh adā ke maqām se
ab bāt baṛh chukī hai nazar ke maqām se
śharm ke yūṇ na …

tasvīr khīṅch lī hai tere śhokh husn kī
merī nazar ne āj khatā ke maqām se
śharmā ke yūṇ na …

duniyā ko bhūl kar merī bāṇhoṅ meṅ jhūl jā
āvāz de rahā hūṇ vafā ke maqām se
śharmā ke yūṇ na …

dil ke muāmle meṅ natīze kī fiqr k‌yā
āge hai iśhq zurm-o-sazā ke maqām se
śharmā ke yūṇ na …