Sharm aatee hai magar aaj ye kahnaa hogaa

शर्म आती है मगर आज ये कहना होगा
Work
Year
Language

शर्म आती है मगर आज ये कहना होगा
अब हमें आपके कदमों ही रहना होगा

आप से रूठ के हम जितना जिये खांक जिये
कई इल्ज़ाम लिये और कई इल्ज़ाम दिये
आज के बाद मगर कुछ भी ना कहना होगा

देर के बाद ये समझे है मोहब्बत क्या है
अब हमें चाँद के झूमर की ज़रूरत क्या है
प्यार से बढ़के भला कौनसा गहना होगा

आप के प्यार का बीमार हमारा दिल है
आप के ग़म का खरीदार हमारा दिल है
आप को अपना कोई दर्द ना सहना होगा

śharm ātī hai magar āj ye kahnā hogā
ab hameṅ āpke kadmoṅ hī rahnā hogā

āp se rūṭh ke ham jitnā jiye khāṅk jiye
kaī ilzām liye aur kaī ilzām diye
āj ke bād magar kuchh bhī nā kahnā hogā

der ke bād ye samjhe hai mohabbat kyā hai
ab hameṅ chāṇd ke jhūmar kī zarūrat kyā hai
pyār se baṛhke bhalā kaunsā gahnā hogā

āp ke pyār kā bīmār hamārā dil hai
āp ke ġham kā kharīdār hamārā dil hai
āp ko apnā koī dard nā sahnā hogā