Shaam se aankh men nameen nameen see hai

शाम से आँख में नमीं नमीं सी है
Year
Language

शाम से आँख में नमीं नमीं सी है
आज फिर आप की कमी कमी सी है
अजनबी सी होने लगी हैं आती जाती साँसे
आँसुओं में ठहरी हुई हैं रूठी हुई सी यादें
आज क्यों रात यूँ थमी थमी सी है
पत्थरों के होठों पे हमने नाम तराशा अपना
जागी जागी आँखों में भर के सोया हुआ था सपना
आँख में नींद भी थमी थमी सी है

śhām se āṇkh meṅ namīṅ namīṅ sī hai
āj phir āp kī kamī kamī sī hai
ajanbī sī hone lagī haiṅ ātī jātī sāṇse
āṇsuoṅ meṅ ṭhahrī huī haiṅ rūṭhī huī sī yādeṅ
āj kyoṅ rāt yūṇ thamī thamī sī hai
patthroṅ ke hoṭhoṅ pe hamne nām tarāśhā apnā
jāgī jāgī āṇkhoṅ meṅ bhar ke soyā huā thā sapnā
āṇkh meṅ nīṅd bhī thamī thamī sī hai