Seene men sulagte hain armaan, aankhon men udaasee chhaaee hain

सीने में सुलगते हैं अरमां, आँखों में उदासी छाई हैं
Work
Year
Language

तलत: सीने में सुलगते हैं अरमां
आँखों में उदासी छाई है
ये आज तेरी दुनिया से हमें
तक़दीर कहाँ ले आई है
सीने में सुलगते हैं अरमां

लता: कुछ आँख में आँसू बाकी हैं
जो मेरे ग़म के साथी हैं - 2
अब दिल हैं ना दिल के अरमां हैं - 2
बस मैं हूँ मेरी तन्हाई है
सीने में सुलगते हैं अरमां

तलत: न तुझसे गिला कोई हमको
ना कोई शिकायत दुनिया से
दो चार कदम जब मन्ज़िल थी - 2
क़िस्मत ने ठोकर खाई है
सीने में सुलगते हैं अरमां

लत: कुछ ऐसी आग लगी मन में
जीने भी ना दे मरने भी ना दे …
चुप हूँ तो कलेजा जलता है - 2
बोलूँ तो तेरी रुसवाई है

बोथ: सीने में सुलगते हैं अरमां

talat: sīne meṅ sulagte haiṅ armāṅ
āṇkhoṅ meṅ udāsī chhāī hai
ye āj terī duniyā se hameṅ
taqdīr kahāṇ le āī hai
sīne meṅ sulagte haiṅ armāṅ

latā: kuchh āṇkh meṅ āṇsū bākī haiṅ
jo mere ġham ke sāthī haiṅ - 2
ab dil haiṅ nā dil ke armāṅ haiṅ - 2
bas maiṅ hūṇ merī tanhāī hai
sīne meṅ sulagte haiṅ armāṅ

talat: na tujhse gilā koī hamko
nā koī śhikāyat duniyā se
do chār kadam jab manzil thī - 2
qismat ne ṭhokar khāī hai
sīne meṅ sulagte haiṅ armāṅ

lat: kuchh aisī āg lagī man meṅ
jīne bhī nā de marne bhī nā de …
chup hūṇ to kalejā jaltā hai - 2
bolūṇ to terī rusvāī hai

both: sīne meṅ sulagte haiṅ armāṅ