Sapnon men agar mere tum aao to so jaaoon

सपनों में अगर मेरे तुम आओ तो सो जाऊँ
Year
Language

सपनों में अगर मेरे, तुम आओ तो सो जाऊँ
बाहों की मुझे माला पहनाओ, तो सो जाऊँ

सपनों में कभी साजन बैठो मेरे पास आ के
जब सीने पे सर रख दूँ, मैं प्यार में शरमा के
इक गीत मोहब्बत का तुम गाओ तो सो जाऊँ

बीती हुयी वो यादें, हंसती हुई आती हैं
लहरों की तरह दिल में आती, कभी जाती हैं
यादों की तरह तुम भी आ जाओ तो सो जाऊँ

sapnoṅ meṅ agar mere, tum āo to so jāūṇ
bāhoṅ kī mujhe mālā pahnāo, to so jāūṇ

sapnoṅ meṅ kabhī sājan baiṭho mere pās ā ke
jab sīne pe sar rakh dūṇ, maiṅ pyār meṅ śharmā ke
ik gīt mohabbat kā tum gāo to so jāūṇ

bītī huyī vo yādeṅ, haṅstī huī ātī haiṅ
lahroṅ kī tarah dil meṅ ātī, kabhī jātī haiṅ
yādoṅ kī tarah tum bhī ā jāo to so jāūṇ