Sapnon men aanaa chher chher jaanaa

सपनों में आना छेड़ छेड़ जाना
Work
Year
Language

सपनों में आना छेड़ छेड़ जाना
सीखा कहाँ से मेरे बलम ने
है इक नवेली नार अलबेली
हँस के लुटाया दिल जिस पे हम ने

डोल गयी दुनिया मेरी
तेरी नज़र जो झुकी -2
आज हुई तुझ को खबर
मैं तो (कब से तेरी हो चुकी) -2
रह कर नज़र में
आँखों के घर में
ये भी न जाना भोले प्रीतम ने
सपनों में आना …

जीत लिया हम ने जहाँ
तू जो हमारा हुआ -2
देख लिया जब से तुझे
जीना गवारा हुआ -2
जो कुछ था मेरा
आज हुआ तेरा
किस्मत बदल ली आपस में हम ने
सपनों में आना …

मतवाली तेरी अदा
मन को मेरे भा गयी -2
नज़रों से नज़रें मिली
नींद आँखों में आ गयी -2
चंचल मस्तानी
चौंकी जवानी
कुछ इस तरह से देखा सनम ने

जो कुछ था मेरा आज हुआ तेरा
किस्मत बदल ली आपस में हम ने

sapnoṅ meṅ ānā chheṛ chheṛ jānā
sīkhā kahāṇ se mere balam ne
hai ik navelī nār albelī
hṇs ke luṭāyā dil jis pe ham ne

ḍol gayī duniyā merī
terī nazar jo jhukī -2
āj huī tujh ko khabar
maiṅ to (kab se terī ho chukī) -2
rah kar nazar meṅ
āṇkhoṅ ke ghar meṅ
ye bhī na jānā bhole prītam ne
sapnoṅ meṅ ānā …

jīt liyā ham ne jahāṇ
tū jo hamārā huā -2
dekh liyā jab se tujhe
jīnā gavārā huā -2
jo kuchh thā merā
āj huā terā
kismat badal lī āpas meṅ ham ne
sapnoṅ meṅ ānā …

matvālī terī adā
man ko mere bhā gayī -2
nazroṅ se nazreṅ milī
nīṅd āṇkhoṅ meṅ ā gayī -2
chaṅchal mastānī
chauṅkī javānī
kuchh is tarah se dekhā sanam ne

jo kuchh thā merā āj huā terā
kismat badal lī āpas meṅ ham ne