(सपने सुहाने लड़कपन के
मेरे नैनों में डोले बहार बन के ) - 2
जब छाए घटा मतवाली, मेरे दिल पे चलाए आरी
घबराये अकेले मनवा, मैं लेके जवानी हारी
कैसे कटें दिन उलझन के
कोई लादे ज़माने वो बचपन के
सपने सुहाने …
जब दूर पपीहा बोले, दिल खाये मेरा हिचकोले
मैं लाज में मर-मर जाऊँ, जब फूल पे भंवरा डोले
छेड़े पवनिया तराने जब मन के
मुझे भाये न रंग ये जीवन के
सपने सुहाने …
(sapne suhāne laṛkapan ke
mere nainoṅ meṅ ḍole bahār ban ke ) - 2
jab chhāe ghaṭā matvālī, mere dil pe chalāe ārī
ghabrāye akele manvā, maiṅ leke javānī hārī
kaise kaṭeṅ din uljhan ke
koī lāde zamāne vo bachapan ke
sapne suhāne …
jab dūr papīhā bole, dil khāye merā hichkole
maiṅ lāj meṅ mar-mar jāūṇ, jab phūl pe bhaṅvrā ḍole
chheṛe pavniyā tarāne jab man ke
mujhe bhāye na raṅg ye jīvan ke
sapne suhāne …