Sapne men sajan se do baaten, ek yaad rahee, ek bhool gae

सपने में सजन से दो बातें, एक याद रही, एक भूल गए
Year
Language

सपने में सजन से दो बातें
एक याद रही, एक भूल गए

एक रात मिलन की आई थी
और उस के बाद जुदाई थी
ग़म और खुशी की दो रातें
एक याद रही, एक भूल गए

एक सावन रुत लाई झूले
दूजी में सजन हमको भूले
देखी हैं यही दो बरसाते
एक याद रही, एक भूल गए

एक रोज तुम्हे दिल दे बैठे
फिर रोग बिरह का ले बैठे
ये प्यार की हैं दो सौगाते
एक याद रही, एक भूल गए

sapne meṅ sajan se do bāteṅ
ek yād rahī, ek bhūl gae

ek rāt milan kī āī thī
aur us ke bād judāī thī
ġham aur khuśhī kī do rāteṅ
ek yād rahī, ek bhūl gae

ek sāvan rut lāī jhūle
dūjī meṅ sajan hamko bhūle
dekhī haiṅ yahī do barsāte
ek yād rahī, ek bhūl gae

ek roj tumhe dil de baiṭhe
phir rog birah kā le baiṭhe
ye pyār kī haiṅ do saugāte
ek yād rahī, ek bhūl gae