Samjhautaa ghamon se kar lo

समझौता ग़मों से कर लो
Work
Year
Language

समझौता ग़मों से कर लो -2
ज़िन्दगी में ग़म भी मिलते हैं
हो पतझड़ आते ही रहते हैं -2
के मधुबन फिर भी खिलते हैं
हो समझौता ग़मों से …

रात कटेगी होंगे उजाले फिर मत गिरना ओ गिरने वाले -2
इन्साँ वो ख़ुद सम्भले औरों को भी संभाले -3
हो समझौता ग़मों से …

भूल सभी से होती आई कौन है जिसने ना ठोकर खाई -2
भूलों से सीखे जो मंज़िल उसने पाई -2
हो समझौता ग़मों से …

samjhautā ġhamoṅ se kar lo -2
zindgī meṅ ġham bhī milte haiṅ
ho patjhaṛ āte hī rahte haiṅ -2
ke madhuban phir bhī khilte haiṅ
ho samjhautā ġhamoṅ se …

rāt kaṭegī hoṅge ujāle phir mat girnā o girne vāle -2
insāṇ vo khud sambhle auroṅ ko bhī saṅbhāle -3
ho samjhautā ġhamoṅ se …

bhūl sabhī se hotī āī kaun hai jisne nā ṭhokar khāī -2
bhūloṅ se sīkhe jo maṅzil usne pāī -2
ho samjhautā ġhamoṅ se …