Samaa ke dil men hamaare zaraa khayaal rahe

समा के दिल में हमारे ज़रा ख़याल रहे
Work
Year
Language

समा के दिल में हमारे ज़रा ख़याल रहे
हमें न कोई पुकारे ज़रा ख़याल रहे

बहार बन के कोई इस चमन में आ ही गया
हमारे सोये हुए प्यार को जगा ही गया
जवाँ हुए हैं नज़ारे ज़रा ख़याल रहे
हमें न कोई पुकारे …

ये दिल क दर्द निगाहों की प्यास धोखा
ज़मीं पे रह के सितारों की आस धोखा है
ये सब्ज़-ओ-बाग़ हैं सारे ज़रा
हैं प्यासे नैन बेचारे ज़रा ख़याल रहे

न डगमगा दे ये कश्ती भँवर ज़माने का
यही तो वक़्त है माँझी को आज़माने का
न छूट जाये किनारे ज़रा ख़याल रहे
हैं प्यासे नैन बेचारे ज़रा ख़याल रहे

ये गीत गाते हुए मस्त वादियों की क़सम
मैं इक तुम्हारे इशारे पे रख रही हूँ क़दम
हम अब हुए हैं तुम्हारे ज़रा ख़याल रहे
हैं प्यासे नैन बेचारे ज़रा ख़याल रहे
समा के दिल में हमारे …

samā ke dil meṅ hamāre zarā khayāl rahe
hameṅ na koī pukāre zarā khayāl rahe

bahār ban ke koī is chaman meṅ ā hī gayā
hamāre soye hue pyār ko jagā hī gayā
javāṇ hue haiṅ nazāre zarā khayāl rahe
hameṅ na koī pukāre …

ye dil ka dard nigāhoṅ kī pyās dhokhā
zamīṅ pe rah ke sitāroṅ kī ās dhokhā hai
ye sabz-o-bāġh haiṅ sāre zarā
haiṅ pyāse nain bechāre zarā khayāl rahe

na ḍagamgā de ye kaśhtī bhṇvar zamāne kā
yahī to vaqt hai māṇjhī ko āzmāne kā
na chhūṭ jāye kināre zarā khayāl rahe
haiṅ pyāse nain bechāre zarā khayāl rahe

ye gīt gāte hue mast vādiyoṅ kī qasam
maiṅ ik tumhāre iśhāre pe rakh rahī hūṇ qadam
ham ab hue haiṅ tumhāre zarā khayāl rahe
haiṅ pyāse nain bechāre zarā khayāl rahe
samā ke dil meṅ hamāre …