Sajnaan ve ... aa bhar de meree maang piyaa

सजणां वे ... आ भर दे मेरी मांग पिया
Work
Year
Language

सजणां वे सजणां वे सजणां
देख मज़ाक न कर तू
ऐसा नहीं ऐसा मैं नहीं तेरा सजणां
वैसा बन जा वैसा कर ले
या मुझे अपना जैसा कर ले

मैने रब से तुझे मांग लिया
आ भर दे मेरी मांग पिया
बेच न गोरी प्यार का सोना
लेकर ये मिट्टी का खिलौना
या या
आ भर दे मेरी मांग …

इस दुनिया में दिल वो लगाये
सारा जग जो छोड़ के आये
कह दे तू इक बार चली आ
मैं न चली आऊं तो मैं बेवफ़ा
मैं मुफ़लिस बेघर बंजारा
किसका मेरे साथ गुज़ारा
सजणां वे …

आएगी ऐसे याद जो तेरी
जाएगी इक दिन जां भी मेरी
साथ जीने का तूने वादा किया
मरने का हक़ तुझे किस ने दिया
तू जो कहे सौ साल जियूंगा
वरना अभी मैं ज़हर पियूंगा
सजणां वे …

मैने तन मन तेरे नाम किया
तूने मुझको खरीद लिया
किसी हालत में बेवफ़ा हम न होंगे
बिछड़ जाएंगे पर जुदा हम न होंगे
सजणां वे …

sajṇāṅ ve sajṇāṅ ve sajṇāṅ
dekh mazāk na kar tū
aisā nahīṅ aisā maiṅ nahīṅ terā sajṇāṅ
vaisā ban jā vaisā kar le
yā mujhe apnā jaisā kar le

maine rab se tujhe māṅg liyā
ā bhar de merī māṅg piyā
bech na gorī pyār kā sonā
lekar ye miṭṭī kā khilaunā
yā yā
ā bhar de merī māṅg …

is duniyā meṅ dil vo lagāye
sārā jag jo chhoṛ ke āye
kah de tū ik bār chalī ā
maiṅ na chalī āūṅ to maiṅ bevafā
maiṅ muflis beghar baṅjārā
kiskā mere sāth guzārā
sajṇāṅ ve …

āegī aise yād jo terī
jāegī ik din jāṅ bhī merī
sāth jīne kā tūne vādā kiyā
marne kā haq tujhe kis ne diyā
tū jo kahe sau sāl jiyūṅgā
varnā abhī maiṅ zahar piyūṅgā
sajṇāṅ ve …

maine tan man tere nām kiyā
tūne mujhko kharīd liyā
kisī hālat meṅ bevafā ham na hoṅge
bichhaṛ jāeṅge par judā ham na hoṅge
sajṇāṅ ve …