Sainyyaa jhoothon kaa badaa sartaaj niklaa

सैंय्या झूठों का बडा सरताज निकला
Year
Language

सैंय्या झूठों का बड़ा सरताज निकला
मुझे छोड़ चला, मुख मोड़ चला, दिल तोड़ चला
बड़ा धोखेबाज निकला

चल दिया जुल्मी मुझ से बहाना बना
मेरे नन्हे से दिल को निशाना बना
बड़ा तीखा वो, दैय्या तीखा वो तीरन्दाज़ निकला

कुछ दिनों से पिया हमसे ना बोलता
ना हमारा घूँघटवा का पट खोलता
इस गुपचूप का भेद देखो आज निकला

मैंने एक दिन जरा सी जो की मस्करी
चला नजरे घुमा के वो गुस्से भरी
मेरा छैला बड़ा नाराज निकला

saiṅyyā jhūṭhoṅ kā baṛā sartāj niklā
mujhe chhoṛ chalā, mukh moṛ chalā, dil toṛ chalā
baṛā dhokhebāj niklā

chal diyā julmī mujh se bahānā banā
mere nanhe se dil ko niśhānā banā
baṛā tīkhā vo, daiyyā tīkhā vo tīrandāz niklā

kuchh dinoṅ se piyā hamse nā boltā
nā hamārā ghūṇghaṭvā kā paṭ kholtā
is gupchūp kā bhed dekho āj niklā

maiṅne ek din jarā sī jo kī maskrī
chalā najre ghumā ke vo gusse bharī
merā chhailā baṛā nārāj niklā