Sainyaa pyaaraa hai apnaa milan

सैंया प्यारा है अपना मिलन्
Work
Year
Language

सैंया प्यारा है अपना मिलन - 2
दूर तुम थे कहीं, दूर हम थे कहीं
पास आए जुड़े ये नयन
सैंया प्यारा है अपना मिलन

आज की रात तुम याद रखना, हो, याद रखना
मैं नशे में हूँ, ग़म याद रखना, हो, याद रखना
जब से तुम हो मिले, तार दिल के हैं खिले
पास मेरे शमी है क़फ़न (???)

यह मुलाकात ये मेल देखो, मेल देखो
अपनी किस्मत का ये खेल देखो, खेल देखो
बात ही बात में एक ही रात में
बन गई मैं तुम्हारी दुल्हन

जो बात तुम्हें कह न पाऊँ, हो, कह न पाऊँ
कौन हो तुम मेरे क्‌या बताऊँ, हो, क्‌या बताऊँ
इतना जानो पीया, मेरा धड़के जीया
आज बस में नहीं मेरा मन
सैंया, प्यारा है अपना मिलन्

saiṅyā pyārā hai apnā milan - 2
dūr tum the kahīṅ, dūr ham the kahīṅ
pās āe juṛe ye nayan
saiṅyā pyārā hai apnā milan

āj kī rāt tum yād rakhnā, ho, yād rakhnā
maiṅ naśhe meṅ hūṇ, ġham yād rakhnā, ho, yād rakhnā
jab se tum ho mile, tār dil ke haiṅ khile
pās mere śhamī hai qafan (???)

yah mulākāt ye mel dekho, mel dekho
apnī kismat kā ye khel dekho, khel dekho
bāt hī bāt meṅ ek hī rāt meṅ
ban gaī maiṅ tumhārī dulhan

jo bāt tumheṅ kah na pāūṇ, ho, kah na pāūṇ
kaun ho tum mere k‌yā batāūṇ, ho, k‌yā batāūṇ
itnā jāno pīyā, merā dhaṛke jīyā
āj bas meṅ nahīṅ merā man
saiṅyā, pyārā hai apnā milan