Sadkon utaariye ke naa laage kaheen nazar

सदकों उतारिये के ना लागे कहीं नज़र्
Work
Year
Language

सदकों उतारिये के ना लागे कहीं नज़र
सेहरे में आज फूल सा मुखड़ा है जलवागर

चेहरे से अपने आज तो परदा उठाइये - (2)
लिल्लाह मुझको चाँद सी सूरत दिखाइये

आंचल में मुँह छुपाके ना शरमाइये हुज़ूर
कुछ दिल कि बात कीजिये कुछ मुस्कुराइये
चेहरे …

इतने करीब आके भी दिल को सुकून नहीं
जी चाहता है और भी नज़दीक आइये
चेहरे …

आई है ज़िन्दगी में ये बेखुदी की रात
सब कुछ मोहब्बतों के सिवा भूल जाइये
चेहरे …

चेहरे से अपने आज तो परदा उठाइये
लिल्लाह मुझको चाँद सी सूरत दिखाइये

sadkoṅ utāriye ke nā lāge kahīṅ nazar
sehre meṅ āj phūl sā mukhaṛā hai jalvāgar

chehre se apne āj to pardā uṭhāiye - (2)
lillāh mujhko chāṇd sī sūrat dikhāiye

āṅchal meṅ muṇh chhupāke nā śharmāiye huzūr
kuchh dil ki bāt kījiye kuchh muskurāiye
chehre …

itne karīb āke bhī dil ko sukūn nahīṅ
jī chāhtā hai aur bhī nazdīk āiye
chehre …

āī hai zindgī meṅ ye bekhudī kī rāt
sab kuchh mohabbtoṅ ke sivā bhūl jāiye
chehre …

chehre se apne āj to pardā uṭhāiye
lillāh mujhko chāṇd sī sūrat dikhāiye