Sadiyon se duniyaa men yahee to kissaa hai

सदियों से दुनिया में यही तो किस्सा है
Year
Language

सदियों से दुनिया में
यही तो किस्सा है
एक ही तो लड़की है
एक ही तो लड़का है
जब भी ये मिल गये, प्यार हो गया …

मोहन की राधा है, मजनूँ की है लैला
हर युग में लगता है दिल वालों का मेला
एक से दो हुए, प्यार हो गया
सदियों से दुनिया में …

पत्थर की मस्जिद हो, या चाँदी की मूरत
दुनिया में प्यार बिना, कोई नहीं तीरथ
दिल से दिल जब मिले, प्यार हो गया
सदियों से दुनिया में …

सागर की ओर चले नदिया घूँघट खोले
भँवरा भी कलियों के आगे-पीछे डोले
फ़ासले कम हुए, प्यार हो गया
सदियों से दुनिया में …

sadiyoṅ se duniyā meṅ
yahī to kissā hai
ek hī to laṛkī hai
ek hī to laṛkā hai
jab bhī ye mil gaye, pyār ho gayā …

mohan kī rādhā hai, majnūṇ kī hai lailā
har yug meṅ lagtā hai dil vāloṅ kā melā
ek se do hue, pyār ho gayā
sadiyoṅ se duniyā meṅ …

patthar kī masjid ho, yā chāṇdī kī mūrat
duniyā meṅ pyār binā, koī nahīṅ tīrath
dil se dil jab mile, pyār ho gayā
sadiyoṅ se duniyā meṅ …

sāgar kī or chale nadiyā ghūṇghaṭ khole
bhṇvrā bhī kaliyoṅ ke āge-pīchhe ḍole
fāsle kam hue, pyār ho gayā
sadiyoṅ se duniyā meṅ …