Sabkuchh sikhaa hamne naa sikhee hoshiyaaree

सबकुछ सिखा हमने ना सिखी होशियारी
Work
Year
Language

सबकुछ सीखा हमने, ना सीखी होशियारी
सच है दुनियावालों के हम हैं अनाड़ी

दुनिया ने कितना समझाया, कौन है अपना कौन पराया
फिर भी दिलकी चोट छूपाकर, हमने आपका दिल बहलाया
खुद ही मर मिटने की ये ज़िद है हमारी

दिलका चमन उजडते देखा, प्यार का रंग उतरते देखा
हमने हर जीनेवाले को धन दौलत पे मरते देखा
दिल पे मरनेवाले मरेंगे भिकारी

असली नकली चेहरे देखे, दिल पे सौ सौ पहरे देखे
मेरे दुखते दिल से पूछो, क्या क्या ख्वाब सुनहरे देखे
टूटा जिस तारे पे नज़र थी हमारी

sabkuchh sīkhā hamne, nā sīkhī hośhiyārī
sach hai duniyāvāloṅ ke ham haiṅ anāṛī

duniyā ne kitnā samjhāyā, kaun hai apnā kaun parāyā
phir bhī dilkī choṭ chhūpākar, hamne āpkā dil bahlāyā
khud hī mar miṭne kī ye zid hai hamārī

dilkā chaman ujaḍte dekhā, pyār kā raṅg utarte dekhā
hamne har jīnevāle ko dhan daulat pe marte dekhā
dil pe marnevāle mareṅge bhikārī

aslī naklī chehre dekhe, dil pe sau sau pahre dekhe
mere dukhte dil se pūchho, kyā kyā khvāb sunahre dekhe
ṭūṭā jis tāre pe nazar thī hamārī