Saavan barastaa hai ... tujhse mil kar bhee yah dil tarastaa hai

सावन बरसता है ... तुझसे मिल कर भी यह दिल तरसता है
Work
Year
Language

सावन आया
सावन बरसता है
तुझसे मिलने को तुझसे मिल कर भी यह दिल तरसता है
सावन बरसता है …

ठहर ठहर जागे मन में लहर कोई थर थर तन कांपे ऐसे
लहर लहर पर बिन मांझी के नैया डोले जैसे
झूम के बादल घिरे टूट के बरसी घटा
चूम के भीगा बदन छेड़े यह ठण्डी हवा
सावन बरसता है …

तरस तरस गए कितने बरस यहां तब हैं ये बादल बरसे
बढ़ती जाए मन की धड़कन देख न प्यासी नज़र से
प्यार की प्यास बढ़े जब भी जवानी में
जी चाहे जल जाऊं बरखा के पानी में
सावन बरसता है …

sāvan āyā
sāvan barastā hai
tujhse milne ko tujhse mil kar bhī yah dil tarastā hai
sāvan barastā hai …

ṭhahar ṭhahar jāge man meṅ lahar koī thar thar tan kāṅpe aise
lahar lahar par bin māṅjhī ke naiyā ḍole jaise
jhūm ke bādal ghire ṭūṭ ke barsī ghaṭā
chūm ke bhīgā badan chheṛe yah ṭhaṇḍī havā
sāvan barastā hai …

taras taras gae kitne baras yahāṅ tab haiṅ ye bādal barse
baṛhtī jāe man kī dhaṛkan dekh na pyāsī nazar se
pyār kī pyās baṛhe jab bhī javānī meṅ
jī chāhe jal jāūṅ barkhā ke pānī meṅ
sāvan barastā hai …