सावन आवन कह गए ... हो दिल में समा के
सावन आवन कह गए कर गए कौल अनेक
गिनते-गिनते घिस गई ऊँगलियों की रेख
हो दिल में समा के मिलने न आए
कैसे तुम अपने कैसे पराए
हो दिल में समा के …
तुझे तारों ने देखा तुझे चन्दा ने देखा
इक हम ही अभागे तुझे हमने न देखा
मेरे सपनों में आए पर ऐसे न आए
हो दिल में समा के …
तुझे अँखियाँ बुलाएँ सूनी रतियाँ बुलाएँ
आअके मिल जा कन्हैया हाय हम कैसे आएँ
मेरे नैना लगे ना जबसे नैना लगाए
हो दिल में समा के …
sāvan āvan kah gae kar gae kaul anek
ginte-ginte ghis gaī ūṇgliyoṅ kī rekh
ho dil meṅ samā ke milne na āe
kaise tum apne kaise parāe
ho dil meṅ samā ke …
tujhe tāroṅ ne dekhā tujhe chandā ne dekhā
ik ham hī abhāge tujhe hamne na dekhā
mere sapnoṅ meṅ āe par aise na āe
ho dil meṅ samā ke …
tujhe aṇkhiyāṇ bulāeṇ sūnī ratiyāṇ bulāeṇ
āake mil jā kanhaiyā hāy ham kaise āeṇ
mere nainā lage nā jabse nainā lagāe
ho dil meṅ samā ke …