Saathiyaa, saathiyaa, pagle se dil ne yah kyaa kiyaa

साथिया, साथिया, पगले से दिल ने यह क्या किया
Work
Year
Language

साथिया, साथिया, पगले से दिल ने यह क्या किया
चुन लिया,चुन लिया, तुझको दीवाने ने चुन लिया
दिल तो उड़ा उड़ा रे आसमान में बादलों के संग
यह तो मचल मचल के गा रहा है सुन नई सी धुन

बदमाश दिल तो ठग है बड़ा
बदमाश दिल यह तुझसे जुड़ा
बदमाश दिल मेरी सुने ना जिद पे अड़ा

अच्छी लगे दिलको मेरे हर तेरी बात रे
साया तेरा बनके चलूँ इतना है ख्वाब रे
काँधे पे सर रखके तेरे कट जाए रात रे
बीतेंगे दिन थामे तेरा हाथों में हाथ रे
यह क्या हुआ मुझे मेरा यह दिल फिसल फिसल गया
यह क्या हुआ मुझे मेरा जहां बदल बदल गया

नींदें नहीं चैना नहीं बदलूँ में करवटें
तारे गिनू या मैं गिनू चादर की सरवटे
यादों में तू ख़्वाबों में तू तेरी ही चाहतें
जाऊं जिधर ढूँढा करूँ तेरी ही आहटें
यह जो है दिल मेरा यह दिल सुनो ना कह रहा यही
वोह भी क्या ज़िन्दगी है ज़िन्दगी की जिसमें तू नहीं

sāthiyā, sāthiyā, pagle se dil ne yah kyā kiyā
chun liyā,chun liyā, tujhko dīvāne ne chun liyā
dil to uṛā uṛā re āsmān meṅ bādloṅ ke saṅg
yah to machal machal ke gā rahā hai sun naī sī dhun

badmāśh dil to ṭhag hai baṛā
badmāśh dil yah tujhse juṛā
badmāśh dil merī sune nā jid pe aṛā

achchhī lage dilko mere har terī bāt re
sāyā terā banke chalūṇ itnā hai khvāb re
kāṇdhe pe sar rakhke tere kaṭ jāe rāt re
bīteṅge din thāme terā hāthoṅ meṅ hāth re
yah kyā huā mujhe merā yah dil phisal phisal gayā
yah kyā huā mujhe merā jahāṅ badal badal gayā

nīṅdeṅ nahīṅ chainā nahīṅ badlūṇ meṅ karavṭeṅ
tāre ginū yā maiṅ ginū chādar kī saravṭe
yādoṅ meṅ tū khvāboṅ meṅ tū terī hī chāhteṅ
jāūṅ jidhar ḍhūṇḍhā karūṇ terī hī āhṭeṅ
yah jo hai dil merā yah dil suno nā kah rahā yahī
voh bhī kyā zindgī hai zindgī kī jismeṅ tū nahīṅ