Saathee haath barhnaa saathee haath barhnaa

साथी हाथ बढ़ना साथी हाथ बढ़ना
Work
Year
Language

साथी हाथ बढ़ाना, साथी हाथ बढ़ाना
एक अकेला थक जायेगा मिल कर बोझ उठाना
साथी हाथ बढ़ाना …

1) हम मेहनतवालों ने जब भी मिलकर कदम बढ़ाया
सागर ने रस्ता छोड़ा परबत ने शीश झुकाया
फ़ौलादी हैं सीने अपने फ़ौलादी हैं बाहें
हम चाहें तो पैदा करदें, चट्टानों में राहें, साथी …

2) मेहनत अपनी लेख की रखना मेहनत से क्‌या डरना
कल गैरों की खातिर की अब अपनी खातिर करना
अपना दुख भी एक है साथी अपना सुख भी एक
अपनी मंजिल सच की मंजिल अपना रस्ता नेक, साथी …

3) एक से एक मिले तो कतरा बन जाता है दरिया
एक से एक मिले तो ज़र्रा बन जाता है सेहरा
एक से एक मिले तो राई बन सकती है परबत
एक से एक मिले तो इन्सान बस में कर ले किस्मत, साथी …

4) माटी से हम लाल निकालें मोती लाएं जल से
जो कुछ इस दुनिया में बना है बना हमारे बल से
कब तक मेहनत के पैरों में ये दौलत की ज़ंज़ीरें
हाथ बढ़ाकर छीन लो अपने सपनों की तस्वीरें, साथी …

sāthī hāth baṛhānā, sāthī hāth baṛhānā
ek akelā thak jāyegā mil kar bojh uṭhānā
sāthī hāth baṛhānā …

1) ham mehnatvāloṅ ne jab bhī milkar kadam baṛhāyā
sāgar ne rastā chhoṛā parbat ne śhīśh jhukāyā
faulādī haiṅ sīne apne faulādī haiṅ bāheṅ
ham chāheṅ to paidā kardeṅ, chaṭṭānoṅ meṅ rāheṅ, sāthī …

2) mehnat apnī lekh kī rakhnā mehnat se k‌yā ḍarnā
kal gairoṅ kī khātir kī ab apnī khātir karnā
apnā dukh bhī ek hai sāthī apnā sukh bhī ek
apnī maṅjil sach kī maṅjil apnā rastā nek, sāthī …

3) ek se ek mile to katrā ban jātā hai dariyā
ek se ek mile to zarrā ban jātā hai sehrā
ek se ek mile to rāī ban saktī hai parbat
ek se ek mile to insān bas meṅ kar le kismat, sāthī …

4) māṭī se ham lāl nikāleṅ motī lāeṅ jal se
jo kuchh is duniyā meṅ banā hai banā hamāre bal se
kab tak mehnat ke pairoṅ meṅ ye daulat kī zaṅzīreṅ
hāth baṛhākar chhīn lo apne sapnoṅ kī tasvīreṅ, sāthī …