Saare shikve gile bhulaa ke kaho ... dil naa torenge kasam khaa ke kaho

सारे शिकवे गिले भुला के कहो ... दिल ना तोड़ेंगे कसम खा के कहो
Year
Language

सारे शिकवे गिले भुला के कहो जो भी कहना है मुस्करा के कहो

दिल ना तोड़ेंगे कसम खा के कहो मुझको अपने गले लगा के कहो
सारे शिकवे गिले …

मेरी कसमों का वस्ता दे के ऐसे न जाओ खफ़ा हो के
आओ मेरे करीब आ के कहो
जो भी कहना है …

हर कदम मेरे साथ आओगे वादा करके न भूल जाओगे
अपनी साँसों में तुम बसा के कहो
मुझको अपने गले …

दम भर साथ हम निभाएंगे एक पल भी ना दूर जाएंगे
अब कभी तुमसे हम ना रूठेंगे फिर ये सपने कभी न टूटेंगे
तुम नज़र से नज़र मिला के कहो
दिल ना तोड़ेंगे …

sāre śhikve gile bhulā ke kaho jo bhī kahnā hai muskrā ke kaho

dil nā toṛeṅge kasam khā ke kaho mujhko apne gale lagā ke kaho
sāre śhikve gile …

merī kasmoṅ kā vastā de ke aise na jāo khafā ho ke
āo mere karīb ā ke kaho
jo bhī kahnā hai …

har kadam mere sāth āoge vādā karke na bhūl jāoge
apnī sāṇsoṅ meṅ tum basā ke kaho
mujhko apne gale …

dam bhar sāth ham nibhāeṅge ek pal bhī nā dūr jāeṅge
ab kabhī tumse ham nā rūṭheṅge phir ye sapne kabhī na ṭūṭeṅge
tum nazar se nazar milā ke kaho
dil nā toṛeṅge …