Saanso men dard dard men saansen

साँसो में दर्द दर्द में साँसें
Work
Year
Language

साँसों में दर्द, दर्द में साँसें बसी हुई (2)
हम में कोई, किसी में समाए हुए हैं हम
होकर भी, अपने आप को पाए हुए हैं हम
हम में कोई, किसी में समाए हुए हैं हम
साँसों में दर्द, दर्द में साँसें बसी हुई

लेते हैं अब साँस भी इल्ज़ाम कि तरहा (2)
घर ऐसे बस्तियों में बसाए हुए हैं हम
हम में कोई … बसी हुई

छोडा है हम को लाके मोहब्बत ने ये कहाँ (2)
अपने लिए भी जैसे पराए हुए हैं हम
हम में कोई … बसी हुई

आया है पेश हम से ज़माना कुछ इस तरहा (2)
अपने गले से खुद को लगाए हुए हैं हम
हम में कोई … बसी हुई

sāṇsoṅ meṅ dard, dard meṅ sāṇseṅ basī huī (2)
ham meṅ koī, kisī meṅ samāe hue haiṅ ham
hokar bhī, apne āp ko pāe hue haiṅ ham
ham meṅ koī, kisī meṅ samāe hue haiṅ ham
sāṇsoṅ meṅ dard, dard meṅ sāṇseṅ basī huī

lete haiṅ ab sāṇs bhī ilzām ki tarhā (2)
ghar aise bastiyoṅ meṅ basāe hue haiṅ ham
ham meṅ koī … basī huī

chhoḍā hai ham ko lāke mohabbat ne ye kahāṇ (2)
apne lie bhī jaise parāe hue haiṅ ham
ham meṅ koī … basī huī

āyā hai peśh ham se zamānā kuchh is tarhā (2)
apne gale se khud ko lagāe hue haiṅ ham
ham meṅ koī … basī huī