Rut phire par din hamaare

रुत फिरे पर दिन हमारे
Work
Year
Language

रुत फिरे पर दिन हमारे, फिरे ना फिरे ना फिरे ना
रुत फिरे पर दिन हमारे

(धर्ति पे रंग छाया, दुनिया के भाग जागे
लेकिन वही अन्धेरा अब तक है अपने आगे)-2
रुत फिरे पर दिन हमारे …

पहुँची ना अपनी नैय्या,अब तक किसी किनारे-2
कोई नहीं जो हमको अपनी तरफ़ पुकारे
(इस पार कुछ नहीं है उस पार कुछ नहीं है
अपने लिये सिवाए मझधार कुछ नहीं है)-2
रुत फिरे पर दिन हमारे …

rut phire par din hamāre, phire nā phire nā phire nā
rut phire par din hamāre

(dharti pe raṅg chhāyā, duniyā ke bhāg jāge
lekin vahī andherā ab tak hai apne āge)-2
rut phire par din hamāre …

pahuṇchī nā apnī naiyyā,ab tak kisī kināre-2
koī nahīṅ jo hamko apnī taraf pukāre
(is pār kuchh nahīṅ hai us pār kuchh nahīṅ hai
apne liye sivāe majhdhār kuchh nahīṅ hai)-2
rut phire par din hamāre …