Rulaa kar chal diye ik din hnsee ban kar jo aaye the

रुला कर चल दिये इक दिन हँसी बन कर जो आये थे
Work
Year
Language

रुला कर चल दिये इक दिन हँसी बन कर जो आये थे
चमन रो-रो के कहता है, कभी गुल मुस्कुराये थे

अगर दिल के ज़ुबाँ होती तो ग़म कुछ कम तो हो जाता
उधर वो चुप, इधर सीने में हम तूफ़ाँ छुपाये थे
चमन रो-रो के कहता है …

ये अच्छा था न हम कहते किसी से दासताँ अपनी
समझ पाये न जब अपने, पराये तो पराये थे
रुला कर चल दिये …

rulā kar chal diye ik din hṇsī ban kar jo āye the
chaman ro-ro ke kahtā hai, kabhī gul muskurāye the

agar dil ke zubāṇ hotī to ġham kuchh kam to ho jātā
udhar vo chup, idhar sīne meṅ ham tūfāṇ chhupāye the
chaman ro-ro ke kahtā hai …

ye achchhā thā na ham kahte kisī se dāstāṇ apnī
samajh pāye na jab apne, parāye to parāye the
rulā kar chal diye …