Ruk jaa o jaanevaalee ruk jaa, main to raahee teree manzil kaa

रुक जा ओ जानेवाली रुक जा, मैं तो राही तेरी मंज़िल का
Work
Year
Language

रुक जा ओ जाने वाली रुक जा
मैं तो राही तेरी मंज़िल का
नज़रों में तेरी मैं बुरा सही
आदमी बुरा नहीं मैं दिल का - (2)

देखा ही नहीं तुझको
सूरत भी न पहचानी
तू आके चली छम से
यूँ डूबके दिन पानी - (2)
रुक जा …

मुद्‌्‌दत से मेरे दिल के
सपनों की तू रानी है
अब तक न मिले लेकिन
पहचान पुरानी है - (2)
रुक जा …

आ प्यार की राहों में
बाहों का सहारा ले
दुनिया जिसे गाती है
उस गीत को दोहरा ले - (2)
रुक जा …

ruk jā o jāne vālī ruk jā
maiṅ to rāhī terī maṅzil kā
nazroṅ meṅ terī maiṅ burā sahī
ādmī burā nahīṅ maiṅ dil kā - (2)

dekhā hī nahīṅ tujhko
sūrat bhī na pahchānī
tū āke chalī chham se
yūṇ ḍūbke din pānī - (2)
ruk jā …

mud‌‌dat se mere dil ke
sapnoṅ kī tū rānī hai
ab tak na mile lekin
pahchān purānī hai - (2)
ruk jā …

ā pyār kī rāhoṅ meṅ
bāhoṅ kā sahārā le
duniyā jise gātī hai
us gīt ko dohrā le - (2)
ruk jā …