Rone na deejiyegaa to gaayaa naa jaaegaa

रोने न दीजियेगा तो गाया ना जाएगा
Year
Language

रोने न दीजियेगा तो गाया ना जाएगा
ऐसे तो हाल दिल का सुनाया ना जाएगा

है प्यार कितना मेरे दिल में कैसे तुझे मैं बताऊँ
दिल चीर के अब अपना कैसे तुझे मैं दिखाऊँ
बिन तेरे जी ना सकूँगा बिन तेरे मर ना सकूँगा
तेरी जुदाई का ग़म भी रह रह के तड़पाएगा
रोने न दीजियेगा तो …

मिलता है मुश्किल से दुनिया में मुहब्बत कोई करने वाला
हर कोई राह-ए-मुहब्बत में होता नहीं मरने वाला
सच क्‌या है जान ले तू मुझको पहचान ले तू
दीवाना दर पे तेरे ही बस आज मर जाएगा
रोने न दीजियेगा तो …

rone na dījiyegā to gāyā nā jāegā
aise to hāl dil kā sunāyā nā jāegā

hai pyār kitnā mere dil meṅ kaise tujhe maiṅ batāūṇ
dil chīr ke ab apnā kaise tujhe maiṅ dikhāūṇ
bin tere jī nā sakūṇgā bin tere mar nā sakūṇgā
terī judāī kā ġham bhī rah rah ke taṛpāegā
rone na dījiyegā to …

miltā hai muśhkil se duniyā meṅ muhabbat koī karne vālā
har koī rāh-e-muhabbat meṅ hotā nahīṅ marne vālā
sach k‌yā hai jān le tū mujhko pahchān le tū
dīvānā dar pe tere hī bas āj mar jāegā
rone na dījiyegā to …