Rok lo apnee mast angaraaee ... dil ne dil se jaane k‌yaa kahaa

रोक लो अपनी मस्त अँगड़ाई ... दिल ने दिल से जाने क्‌या कहा
Work
Year
Language

र: रोक लो अपनी मस्त अँगड़ाई दोनों आलम न टूट जाएँ कहीं
ल: आसमाँ के हसीन हाथों से चाँद-सूरज न छूट जाएँ कहीँ

र: दिल ने दिल से जाने क्‌या कहा हो तेरे नैन मेरे नैन देखते रहे हो -2
ल: बातों-बातों में जाने क्‌या हुआ हो तेरे नैन मेरे नैन देखते रहे हो -2

र: इन बहारों ने दुल्हन बनाया तुझे
और किरणों का जेवर पहनाया तुझे
सारे कसीदों ने मिलकर सजाया तुझे
प्यार से हवा ने झूला झुलाया तुझे
आया मौसम जवाँ प्यार का हो
तेरे नैन मेरे नैन …

ल: तेरी बाँहों का ऐसा सहारा मिला
जैसे तूफ़ानों में कोई किनारा मिला
मेरे हाथों को दामन तुम्हारा मिला
जैसे नदियों को सागर का धारा मिला
दिल ख़ुशी से मचलने लगा हो
तेरे नैन मेरे नैन …

र: तेरे जलवों से रोशन नज़ारे रहें
इन नज़ारों में तेरे इशारे रहें
ल: नीले अम्बर पे जब तक सितारे रहें
तुम हमारे रहो हम तुम्हरे रहें
र: तेरा रखवाला दिल है मेरा हो
तेरे नैन मेरे नैन …

ra: rok lo apnī mast aṇgaṛāī donoṅ ālam na ṭūṭ jāeṇ kahīṅ
la: āsmāṇ ke hasīn hāthoṅ se chāṇd-sūraj na chhūṭ jāeṇ kahīṇ

ra: dil ne dil se jāne k‌yā kahā ho tere nain mere nain dekhte rahe ho -2
la: bātoṅ-bātoṅ meṅ jāne k‌yā huā ho tere nain mere nain dekhte rahe ho -2

ra: in bahāroṅ ne dulhan banāyā tujhe
aur kirṇoṅ kā jevar pahnāyā tujhe
sāre kasīdoṅ ne milkar sajāyā tujhe
pyār se havā ne jhūlā jhulāyā tujhe
āyā mausam javāṇ pyār kā ho
tere nain mere nain …

la: terī bāṇhoṅ kā aisā sahārā milā
jaise tūfānoṅ meṅ koī kinārā milā
mere hāthoṅ ko dāman tumhārā milā
jaise nadiyoṅ ko sāgar kā dhārā milā
dil khuśhī se machalne lagā ho
tere nain mere nain …

ra: tere jalvoṅ se rośhan nazāre raheṅ
in nazāroṅ meṅ tere iśhāre raheṅ
la: nīle ambar pe jab tak sitāre raheṅ
tum hamāre raho ham tumhre raheṅ
ra: terā rakhvālā dil hai merā ho
tere nain mere nain …