Rishten bante hain bare dheere se banne dete

रिश्तें बनते हैं बड़े धीरे से बनने देते
Year
Language

रिश्तें बनते हैं बड़े धीरे से बनने देते
कच्चे लम्हें को ज़रा शांख पे पकने देते

एक चिंगारी का उड़ना था की पर काट दिये
आँच आई थी ज़रा आग तो जलने देते
कच्चे लम्हें को ज़रा शांख पे पकने देते

एक ही लम्हें पे इक साथ गिरे थे दोनो
खुद संभलते या ज़रा मुझको संभलने देते
कच्चे लम्हें को ज़रा शांख पे पकने देते

riśhteṅ bante haiṅ baṛe dhīre se banne dete
kachche lamheṅ ko zarā śhāṅkh pe pakne dete

ek chiṅgārī kā uṛnā thā kī par kāṭ diye
āṇch āī thī zarā āg to jalne dete
kachche lamheṅ ko zarā śhāṅkh pe pakne dete

ek hī lamheṅ pe ik sāth gire the dono
khud saṅbhalte yā zarā mujhko saṅbhalne dete
kachche lamheṅ ko zarā śhāṅkh pe pakne dete