रहिये अब ऐसी जगह चल कर जहाँ
रहिये अब ऐसी जगह चल कर जहाँ कोई न हो
हमसुख़न कोई न हो और हमज़बाँ कोई न हो
रहिये अब ऐसी जगह
बे-दर-ओ-दीवार का इक घर बनाया चाहिये -2
कोई हमसाया न हो और पासबाँ कोई न हो
रहिये अब ऐसी जगह
पड़िये गर बीमार तो कोई न हो तीमारदार -2
और अगर मर जाइये तो नौहख़्वाँ कोई न हो
रहिये अब ऐसी जगह्
rahiye ab aisī jagah chal kar jahāṇ koī na ho
hamsukhan koī na ho aur hamazbāṇ koī na ho
rahiye ab aisī jagah
be-dar-o-dīvār kā ik ghar banāyā chāhiye -2
koī hamsāyā na ho aur pāsbāṇ koī na ho
rahiye ab aisī jagah
paṛiye gar bīmār to koī na ho tīmārdār -2
aur agar mar jāiye to nauhakhvāṇ koī na ho
rahiye ab aisī jagah