Raat jaag ke nikaaloon tere intazaar men

रात जाग के निकालूँ तेरे इंतज़ार में
Work
Year
Language

रात जाग के निकालूँ तेरे इंतज़ार में
आँख चाँद से लगा लूँ तेरे इंतज़ार में

तू आजा तू आजा खुले हैं दिल के रास्ते
न पा सकूँ ना खो सकूँ मैं फिर भी तेरे वास्ते
दीप याद के जलाऊँ तेरे इंतज़ार में
रात जाग के निकालूँ …

नज़र झुके ज़ुबाँ रुके हो जब भी तेरा सामना
न कह सकूँ न रह सकूँ पड़ा है दिल को थामना
चैन उम्र भर ना पाऊँ तेरे इंतज़ार में
रात जाग के निकालूँ …

rāt jāg ke nikālūṇ tere iṅtazār meṅ
āṇkh chāṇd se lagā lūṇ tere iṅtazār meṅ

tū ājā tū ājā khule haiṅ dil ke rāste
na pā sakūṇ nā kho sakūṇ maiṅ phir bhī tere vāste
dīp yād ke jalāūṇ tere iṅtazār meṅ
rāt jāg ke nikālūṇ …

nazar jhuke zubāṇ ruke ho jab bhī terā sāmnā
na kah sakūṇ na rah sakūṇ paṛā hai dil ko thāmnā
chain umr bhar nā pāūṇ tere iṅtazār meṅ
rāt jāg ke nikālūṇ …