Raat barsaat kee, pahlee mulaaqaat kee

रात बरसात की, पहली मुलाक़ात की
Work
Year
Language

आ आ
रात बरसात की, पहली मुलाक़ात की
याद रखो बलमा-3
याद रखो बलमा, जो रूठ्ने की बात थी

बूँद बूँद बरसे, दिल मेरा तरसे
पहली पहली बार पिया, निकली हूँ घरसे-2
चोरी चोरी आके सैंय्या-2
मैं ने मुलाक़ात की
रात बरसात की …

बिजली ने रोका, पानी ने टोका
चली आई सोचके जो होगा सो होगा-2
तेरे लिये ठँड सही-2
भीगी भीगी रात में
रात बरसात की …

ā ā
rāt barsāt kī, pahlī mulāqāt kī
yād rakho balmā-3
yād rakho balmā, jo rūṭhne kī bāt thī

būṇd būṇd barse, dil merā tarse
pahlī pahlī bār piyā, niklī hūṇ gharse-2
chorī chorī āke saiṅyyā-2
maiṅ ne mulāqāt kī
rāt barsāt kī …

bijlī ne rokā, pānī ne ṭokā
chalī āī sochke jo hogā so hogā-2
tere liye ṭhṇḍ sahī-2
bhīgī bhīgī rāt meṅ
rāt barsāt kī …