रात और दिन दिया जले
मेरे मन में फिर भी अंधियारा है
जाने कहाँ है, ओ साथी
तू जो मिले जीवन उजियारा है
पग पग मन मेरा ठोकर खाए
चाँद सूरज भी राह ना दिखाए
ऐसा उजाला कोई मन में समाए
जिससे पिया का दर्शन मिल जाए
गहरा ये भेद कोई मुझ को बताए
किसने किया है मुझपर अन्याय
जिसका हो दीप वो सुख नहीं पाए
ज्योत दिये की दूजे घर को सजाए
खुद नहीं जानूँ ढूँढे किसको नज़र
कौन दिशा है मेरे मन की डगर
कितना अजब ये दिल का सफ़र
नदिया में आए जाए जैसे लहर
rāt aur din diyā jale
mere man meṅ phir bhī aṅdhiyārā hai
jāne kahāṇ hai, o sāthī
tū jo mile jīvan ujiyārā hai
pag pag man merā ṭhokar khāe
chāṇd sūraj bhī rāh nā dikhāe
aisā ujālā koī man meṅ samāe
jisse piyā kā darśhan mil jāe
gahrā ye bhed koī mujh ko batāe
kisne kiyā hai mujhapar anyāy
jiskā ho dīp vo sukh nahīṅ pāe
jyot diye kī dūje ghar ko sajāe
khud nahīṅ jānūṇ ḍhūṇḍhe kisko nazar
kaun diśhā hai mere man kī ḍagar
kitnā ajab ye dil kā safar
nadiyā meṅ āe jāe jaise lahr