Raat andheree dar laage

रात अँधेरी डर लागे
Year
Language

रात अँधेरी डर लागे अकेली मोहे छोड़ न जाना जी
देखो जी देखो मोरे सैंय्या यह दिल मेरा तोड़ न जाना जी

लेके न जाना मेरे दिल का क़रार, तू है मेरी बहार
मेरा कहता है प्यार
मैं ने किया है दिल तेरे हवाले, मोहे अपना बना ले
सुन मेरी पुकार
ओ मोरे सैंय्या पड़ूँ मैं तोरे पैंय्या, मोहे छोड़ न जाना जी

मानो जी मानो पिया देखो इधर, इक मीठी नज़र
मेरे जान-ए-जिगर
कारी कारी रात जिया मोरा जगाये, मोहे निन्दिया ना आये
मैं न जाऊँ किधर
ओ मोरे राजा, क़सम मेरी आजा, मोहे छोड़ न जाना जी

rāt aṇdherī ḍar lāge akelī mohe chhoṛ na jānā jī
dekho jī dekho more saiṅyyā yah dil merā toṛ na jānā jī

leke na jānā mere dil kā qarār, tū hai merī bahār
merā kahtā hai pyār
maiṅ ne kiyā hai dil tere havāle, mohe apnā banā le
sun merī pukār
o more saiṅyyā paṛūṇ maiṅ tore paiṅyyā, mohe chhoṛ na jānā jī

māno jī māno piyā dekho idhar, ik mīṭhī nazar
mere jān-e-jigar
kārī kārī rāt jiyā morā jagāye, mohe nindiyā nā āye
maiṅ na jāūṇ kidhar
o more rājā, qasam merī ājā, mohe chhoṛ na jānā jī