राम करे कहीं नैना न उलझे
इन नैनन की रीत बुरी है
इन नैनों उलझाये न सुलझे
शब-ए-फ़िराक़ में यूँ दिल का दाग़ जलता है
मकान-ए-? जैसे चराग़ जलता है
चश्म-ए-पुरनम है जिगर जलता है
क्या क़यामत है के बरसात में घर जलता है
क़रार छीन लिया बेक़रार छोड़ गये
बहार ले गये याद-ए-बहार छोड़ गये
हमारे चश्म-ए-हज़ीं को न कुछ ख़याल किया
वो उम्र भर के लिये अश्क़बार छोड़ गये
rām kare kahīṅ nainā na uljhe
in nainan kī rīt burī hai
in nainoṅ uljhāye na suljhe
śhab-e-firāq meṅ yūṇ dil kā dāġh jaltā hai
makān-e-? jaise charāġh jaltā hai
chaśhm-e-purnam hai jigar jaltā hai
kyā qayāmat hai ke barsāt meṅ ghar jaltā hai
qarār chhīn liyā beqrār chhoṛ gaye
bahār le gaye yād-e-bahār chhoṛ gaye
hamāre chaśhm-e-hazīṅ ko na kuchh khayāl kiyā
vo umr bhar ke liye aśhqbār chhoṛ gaye