राखी धागों का त्यौहार -2
बँधा हुआ इक-इक धागे में भाई-बहन का प्यार
राखी धागों का …
कितना कोमल कितना सुन्दर भाई-बहन का नाता
इस नाते को याद दिलाने ये त्यौहार है आता
बहन के मन की आशाएँ राखी के ये तार
राखी धागों का …
बहन कहे मेरे वीर तुझे ना बुरी नजरिया लागे
मेरे राजा भैय्या तुझको मेरी उमरिया लागे
धन हूँ पराया फिर भी मिलूँगी साल में तो इक बार
राखी धागों का …
भाई कहे ओ बहन मैं तेरी लाज का हूँ रखवाला
गूँथूँगा मैं प्यार से तेरे अरमानों की माला
भाई-बहन का प्यार रहेगा जब तक है संसार
राखी धागों का …
rākhī dhāgoṅ kā tyauhār -2
bṇdhā huā ik-ik dhāge meṅ bhāī-bahan kā pyār
rākhī dhāgoṅ kā …
kitnā komal kitnā sundar bhāī-bahan kā nātā
is nāte ko yād dilāne ye tyauhār hai ātā
bahan ke man kī āśhāeṇ rākhī ke ye tār
rākhī dhāgoṅ kā …
bahan kahe mere vīr tujhe nā burī najriyā lāge
mere rājā bhaiyyā tujhko merī umriyā lāge
dhan hūṇ parāyā phir bhī milūṇgī sāl meṅ to ik bār
rākhī dhāgoṅ kā …
bhāī kahe o bahan maiṅ terī lāj kā hūṇ rakhvālā
gūṇthūṇgā maiṅ pyār se tere armānoṅ kī mālā
bhāī-bahan kā pyār rahegā jab tak hai saṅsār
rākhī dhāgoṅ kā …