Raadhaa raanee na jaiyo re jamnaa ke teer

राधा रानी न जइयो रे जमना के तीर्
Work
Year
Language

राधा रानी न जइयो रे जमना के तीर
गगरी के बदले दो नयनों में भर लाएगी नीर
राधा रानी न जइयो …

यह तेरी नादान उमरिया सरकी जाए सर से चुनरिया
सोच समन्झ कुछ तो बावरिया
प्रेम नगर की कठिन डगरिया कोमल तेरा शरीर
राधा रानी न जइयो …

देख रही हैं तेरी सखियां लाज की मारी तेरी अखियां
बन गईं तेरे प्रेम की पतियां
तूने काहे मन में लगाई मोहन की तस्वीर
राधा रानी न जइयो …

लोग ये कहना आम करेंगे नाम तेरा बदनाम करेंगे
दोष ये तेरे नाम करेंगे
अपने मन में प्रीति छुपा ले अपने मन की प्रीत
राधा रानी न जइयो …

rādhā rānī na jaiyo re jamnā ke tīr
gagrī ke badle do naynoṅ meṅ bhar lāegī nīr
rādhā rānī na jaiyo …

yah terī nādān umriyā sarkī jāe sar se chunriyā
soch samanjh kuchh to bāvriyā
prem nagar kī kaṭhin ḍagriyā komal terā śharīr
rādhā rānī na jaiyo …

dekh rahī haiṅ terī sakhiyāṅ lāj kī mārī terī akhiyāṅ
ban gaīṅ tere prem kī patiyāṅ
tūne kāhe man meṅ lagāī mohan kī tasvīr
rādhā rānī na jaiyo …

log ye kahnā ām kareṅge nām terā badnām kareṅge
doṣh ye tere nām kareṅge
apne man meṅ prīti chhupā le apne man kī prīt
rādhā rānī na jaiyo …