Qismat ne hamen rone ke liye duniyaa men akelaa chhor diyaa

क़िस्मत ने हमें रोने के लिये दुनिया में अकेला छोड़ दिया
Work
Year
Language

( क़िस्मत ने हमें रोने के लिये
दुनिया में अकेला छोड़ दिया
दुनिया में अकेला छोड़ दिया ) -2

सुख-चैन लुटा दुख-दर्द मिला
बेचैन है दिल मजबूर हैं हम
दुनिया ने हमारी जीने का
हर एक सहारा तोड़ दिया -2

क़िस्मत ने हमें रोने के लिये
दुनिया में अकेला छोड़ दिया -2

बेदर्द ख़िज़ाँ की नज़रों से
मासूम बहारें बच न सकीं
लो आज चमन में आरी ने
डाली से कली तो तोड़ दिया -2

क़िस्मत ने हमें रोने के लिये
दुनिया में अकेला छोड़ दिया -2

( qismat ne hameṅ rone ke liye
duniyā meṅ akelā chhoṛ diyā
duniyā meṅ akelā chhoṛ diyā ) -2

sukh-chain luṭā dukh-dard milā
bechain hai dil majbūr haiṅ ham
duniyā ne hamārī jīne kā
har ek sahārā toṛ diyā -2

qismat ne hameṅ rone ke liye
duniyā meṅ akelā chhoṛ diyā -2

bedard khizāṇ kī nazroṅ se
māsūm bahāreṅ bach na sakīṅ
lo āj chaman meṅ ārī ne
ḍālī se kalī to toṛ diyā -2

qismat ne hameṅ rone ke liye
duniyā meṅ akelā chhoṛ diyā -2